CALL OF DUTY Ye Duniya Ka Ek Bahot Hi Famous Game Hai. Yeh Game Pahle To Sirf PC ke Liye Available Tha Lekin Abhi Kuch Months Pahle Ek Good News Aaisi Nikalke Aayi Thi Ki Yeh Game Android Aur iOS Ke Liye Bhi Launch Kiya Jayega.
Jaise Ki Ap Sab Ko Pata Hi Hoga Ki Iska Beta Version Playstore Pe July Me Availaible Ho Gaya Tha. Lekin Testing Ke Bad Beta Testing Ko Off Kr Diya Gaya Tha. Aap Sab Ke Liye Good News Yeh Hai Ki Iss Game Ko Finally November Me Playstore Par Officialy Launch Kar Diya Jane Wala Hai.
Map Of CODM
Sources Ke Hisab Se Iss Game Me Apko Maximum 6 Maps Dekhne Ko Milne Wale Hai Multiplayer Mode Me. Aur Itne Map Ke Bad Shayad Yeh Game PUBG Ko Bhi Race Me Piche Chod Sakta Hai. Maps Me Shamil Hai-
- Nuketown,
- Killhouse,
- Hijacked,
- Crossfire,
- Standoff Aur
- Crash.
Itne Sare Maps Ke Sath Khelne Me To Maza Aa Jayega. Multiplayer Mode & Battle Royal Mode
Jab Iss Game Ki Beta Testing Chal Rahi Thi Tab Isme 4 Multiplayer Mode Available The- Free4All, Search and Destroy, Team Deathmatch Aur Frontline, Gun Game Aur Iske Sath Hi zombie mode Bhi Dekhne Ko Mila Tha. Aur Battel Royal Bhi Add Ho Gya Tha Next Beta Version Me
COD Mobile Release Date
To Dosto Abhi Sirf 2 Month Bache Hai Call Of Duty: Mobile Game Ko Release Hone Ke Liye. Jab Iska Beta Version Aya Tha Tab Isne Bahot Jyada Popularity Hasil Ki Thi. To Sochne Wali Bat Ye Hai Ki Jab Ye Permanently Globally Launch Ho Jayega Tab To Ye Game Shayad Sare Record Hi Tod De. Kya Ap Bhi Iss Game Ke Liye Excited Hai..? Agar Ho To Comment Krke Jarur Bataiye. Aur Ye Bhi Jarur Batana Ki Kya Apne Iske Beta Mode Ko Try Kiya Tha. ya Nahi
To Dosto Agar Aise Hi New Updates Ko Regular Sabse Pahle Padhna Chahte Ho To Hamare Website Se Jude Rahiye.
Thanks For Reading.