Disadvantages & Advantages Of Internet In Hindi Article

Aaj Ke Time Me Duniya Bhar Me Internet Ki Importance Bahot Badh Gai Hai. Internet Ki Wajah Se Logo Ko Har Kam Me Kch Na Kuch Help Milti Ja Rahi Hai. Aur Isse Hamare India Ka Bhi Bahot Development Hote Ja Raha Hai.


Kaise Pata Kare Ki Aap/Wo Internet Ke Addicted Hai Ya Nahi
Lekin Kai Bar Hum Iska Sahi Se Use Nahi Karte Hai. Kuch Logo Ka Yeh Manna Hai Ki Internet Bina Jina Koi Jina Nahi Hota Hai. Jyadatar Log Internet Se Addict Hote Ja Rahe Hai. Addicted Log Khud Ye Nahi Mante Ki Wo Internet Ke Bina Reh Nahi Sakte. Agar Aap Koge Ye Kaise Pata Kare Ki Hum Internet Ke Addicted Hai Ki Nahi Ise Pata Karne Ke Liye Aap Ko 1 se 2 Din Internet Se Dur Rehna Padega Agar Us Time Aap Ko Lage Ki Mera Mood Kharab Hogya , Ya Aap Ko Kisi Ke Bhi Baat Par Gussa Aaye, Aur Chidchide se Hone Lage, Rato Ko Unhe Neend Na Aane Lage Ya Pasine Chutne Lage, To  Iska Yahi Matlab Hai Ki Wo/ App Intenet Se Addict Ho Chuke Hai. 


Internet Pe Itta Depend Rehne Ki Wajah Se Unhe Aisa Lagne Lagta Hai Ki Internet Ke Bina Wo Kuch Nahi Kar Sakte Aur Jee Bhi Nahi Sakte. Wo Log Internet Ko Hi Apni Duniya Man Baithte Hai. Aise Log Subhe Uthte Hi Sabse Pahle Apne Phone Ka Internet Chalu Karke Dekhte Hai Ki Koi Notification To Nahi Ayi Hai Aur Fir Din Bhar Pura Time Ussiii Ke Piche Lage Rehte Hai. Aur Jab Rat Me Sote Hai Tab Bhi Wo Log Apne Bistar Ke Pas Hi Phone Ko Rakhke Sote Hai. Matlab Ek Tarah Se Wo Internet Aur Phone Ke Piche Pure Pagal Ho Chuke Hote Hai. Guys Agar Meri Baat Karo To Mera Bhi Same Hal Hai Aap Log Ke Jaisa Hi Mere Liye Mobile Aur LapTop Hi Meri Duniya Hai


Internet Ki Profit & Loss 
Agar Internet Ka Sahi Se Use Kiya Jaye To Yeh Bahot Badi Aur Useful Chiz Hai Lekin Agar Iska Galat Use Kiya To Mehenga Pad Sakta Hai. Ajkal Baccho Ke Hath Me Kam Age Me Hi Phone Aa Jata Hai Isi Ke Wajeh se Unhe Galat Aadate Lagte Ja Rahi Hai Jaise Ki 18+ Content Dekhna, Ghanto Whatsapp, Facebook Use Karnaa, Aur Bhi Bahot Kuch. Isse Bachho Ki Padhai Par Bhi Bahot Jyada Nuksan Pahuchta Hai. Unhe Exams Me Kam Marks Milne Lagte Hai.


Agar Internet Ko Education Aur Buisness Ke Liye Use Kiya Jaye To Ye Bahot Hi Accha Platform Hai Leki Agar Isee Galat Use Kiya Jaye To Ye Humari Life Ko Puri Tarah Se Destroy Bhi Kar Sakti Hai.

Mai To Bas Itta Kahuga Ki Internet Use Karo Lekin Ek Limit Me Karo Jisse Ki Ap Uske Addict Na Ho Jao. Sahi Tarah use Kroge To Successful Hone Se Koi Nahi Rok Sakega.

To Guys Aap Roz Kitne Ghante Internet Use Karte Ho Aur Internet Ko Kis Purpose Ke Liye Use Karte Ho Hame Comment Box Me Jarur Se Batana.
Agar Apko Aur Bhi Aise Intresting Articles Padhne Ho To Website Se Jude Rahiye.

Thanks For Reading.

Leave a Comment