Top 5 Jobs In Gaming Field/ Industry || Best Job In Gaming Industry

Top 5 Jobs In Gaming Industry

Aaj Ke Time Me Gaming Ko Bhi Bahot Importance Diya Ja Raha Hai. Log gaming Field ke taraf bahot jayda attract huee ja rahe hai. Isi ke liye gaming field me important aur bhi jyada badte ja raha hai. 
Aaj ke post me mai apko yahi sab batauga ki ap iss field ka use paise kamane ke liye kaise Use kar sakte ho. So guys Aaj Log Hum Dekhege ki duniya me gaming se realated top 5 jobs kon kon se hai. To agar Aap bhi gaming field me jane ka socha hai to blog ko end tak padhiyega. Bahut jayda useful hone wala hai ye post
1- Game Designer
Video game designer wo log hai jo game concept banaane ke lie responsible hote hai. Designer puree game development team ko manage karte hai – jisme , engineer, programmer aur artist shaamil rehte hai. Ye ek entry level job nahi hai balki ye wo job hoti hai jo apko apke carrer ke taraf aage badne me help karti hai.

 2- Animator

Animator wo person hota hai jise puree Game ke visual element ka dhyan rakhna padta hai. Aap jab game khelte ho tab apke screen par jo kuch bhi dikh raha hota hai wo sab ka responsible ek hi person ka hota hai wo hai Animator.  Video games me inka bahot bada Contribution hota hai.
3- Programmers
Programmer wo log hote hai jinhe game ke code ko handle karna hota hai. Lekin itta hi nahi agar kabhi game jarurat pade to unhe khud code banana bhi padta hai. Agar apke pas software engineer ya fir computer programming ki degree hai to aap iss job ke liye easily apply kr sakte ho.


3- Video Game Tester

Video games ko launch karne se pahle oose bahot acche se test karna hota hai. Video game tester ka kam ye hota hai ki inhe launch se pahle pure game ko acche se test karna hota hai taki usme koi bugs na reh jaye aur public game ko achhe se game ko enjoy na kar paye is liye games ko lunch Karen se pehle kitni bar test kiya jata hai. Jab game create ho jata hai aur jab final testing hoti hai tab Video Game Tester ko game testing ke liye diya jata hai aur unhe is kam ke paise milte hai. Mere khayal se ye to sabse best job hai.
 4.  Writer
Video Game development ye technical aur creative process hoti hai aur iske liye Gaming Company Ko Writer ki jarurat padti hai. In- game development ke liye unhe writer ki jarurat hoti hai jinka kam hota hai game ke story ko likhna aur game ke story ko develop krna. Technical writers ki bhi jarurat padti hai jo game manual, game instruction aur game documentation ko likhee.

So guys agar apko bhi gaming field me jana hai to hume comment me jrur bataye ki aapko konsa field pasand hai gaming me.
Agar apko gaming ke bare me aur updates chahiye to hamare website se jude rahiye.
Thanks for reading.

Leave a Comment